TARZ - E - HAYAT

  {""HUM HAMAISHA UMEED ACHE KI KARTE HAIN, PHIR JO MIL JATA HAI USI SE   KAM CHLA LETE HAIN, AUR PHIR BEHTAR KI UMEED LAGA KAR BAITH JATE HAIN""}

             ...............,,,,,,,,,,,,,,,............... 

(*) Insaan bhi ajeeb mizaj ka hai "jo is ki tabiat ko samjhe wo acha lgta hai Or jo is niyat ko        samjhe wo bura lgta hai".

      .....,,,,,.....

(*) "Baaz log itne pecheeda aur bahadur hote hain k agr un ki zindagi me gam barh jain to un k        kahkahon me shidat aa jati hai".

      .....,,,,,..... 

(*) Buri nazar lag jai to achi qismat bhi saath nhi deti.

       .....,,,,,.....

(*) Quran Majeed me sab se ziada izat aurat ko di gai hai.

       .....,,,,,..... 

(*)" Insaan sab se sasta Muhabbat k naam par bikta hai Aur sab se mehngi Insaan ko Muhabbat         hi parti hai".

       .....,,,,,.....

(*)"Hamare haan log gherat k naam par sirf apni behne hi katal krte hain, aur,,  doosron ki behnon        ki  videos bna lete hain".

       .....,,,,,.....

(*)Jab sannata Rooh me utar jai tab ronaken mutasir nahi kartin.

       .....,,,,,..... 

(*) "Aj kal log apna adha waqt anjaan logon ko impress karne men aur Adha waqt apnon ko        ignore karne me guzar dete hain".

       .....,,,,,.....

(*) "Doosron ko apne bare me safaiyan de kar apna waqt aur Alfaz zaya na ki jiye log utna hi         samajhte hain jitni un ki auqat hoti hai".

       .....,,,,,.....

(*) "jab koi dil dukhaiy to chup rehne me hi samajhdari hai Q k Shaiyad ap k jawaab se behtar        waqt ka jawab ho".

       .....,,,,,.....

(*) "Ache hote hain bure log bhi kam az kam Acha hone ka dikhawa to nahi karte".

       .....,,,,,..... 

(*) "khush naseeb wo nahi jis ka naseeb acha ho balke khush naseeb wo hai jo apne naseeb se         khush hai".

       .....,,,,,..... 

(*) "Atish e dozakh Na dekh ghazab se Mujh ko bara Raheem hai wo jis ka gunehgar hun me".

       .....,,,,,..... 

(*)"Hamaisha apne lafzon k istamal me bohat Ehtyat bartiye ga,, ye lafaz dunia ki kisi bhi taqat se        Kam takatwar nhi hote hain qun ke ye zakhm dete bhi hen aur unhain bharte bhi hain        Aur agar ye zakham den to dil toot jate hain aur agr dil toot jain to Insaan jeete jee mar jate hain aur jeete jee mar jane se hakeekat me mar jana kahin behtar hai"".

       .....,,,,,.....

 (*) "Qadar karni hai to zindagi me karo, chehre se kafan uthate waqt to nafrat karne wale bhi ro        parte hain.".  

                            {"JUNOON HOTA HAI HAR UMR ME JUDA JUDA---------KHILONE, PAISA, ISHQ, AUR PHIR KHUDA KHUDA"}                          

                                         THE END ? 
 (some quotes are collected from different books, social media and frommovies).                 
 (and some are my own thoughts)   

                              'writen. by [{("'F@®H@@N'") }]